METHANOMETER
Methanometer ek handheld portable apparatus ( upkaran) hai , jo on the spot garam gas ki jaanch kar sakta hai.
Bhumigat khano (u/g) me prayog karne ke liye DGMS ne ek ameriki company MSA ka D-6 or D-6D anumodit kia hai.
MSA D-6 = ANALOG METHANOMETER
MSA D-6D =DIGITAL METANOMETER
ANALOG: -----
YAH 5% tak garam gas ki by volume tak jaanch kar sakta hai
Yah methanometer
1. Wheatstone bridge, or
2. Gas diffusion
Ke siddhaant par kaam karta hai.
Gas diffusion ke siddhaant par hawaa yantra
Ke andar pravesh karti hai
Or
Whatstone bridge ke siddhaant dwara garam gas ke % (pratisat) matra ki jaanch hoti hai.
Construction
Methanometer ke upari bhaag me ek hawwa ghusne wala hole rahta hai jismE ek khulne wali dust cap lagi rahti hai.
Yantra ke andar wheat stone bridge kaa circuit hota hai
Yantra ke left side me ek methanometer check batan hota hai or right side ME voltage check batan hota hai
Iss yantra ka bajan battery sahit 470gm kaa hota hai
Isme nickel-cadmium(ni-cd) ki rechargable batterie rahti hai, jisse complete charge karne me 14 ghante ka samay lagtaa hai.
Iska prayog
Sabse pahle voltage check button se battery kaa voltage check kar lete hai
Agar voltage 2.2 volt se kam hai to jaanch nhi karenge
Or agar voltage 2.2 volt to 2.8 volt ke bich hai toh aage ki prakriyaaa karenge
Jaha jaanch karni hai wha iss yantra ko lekar iske uppari bhhaag me diya gaya dust cap ko khol dete hai
Jisse hawa diffusion se yantra me pravesh karti hai
Uske baad methane check button ko 10 se 20 second tak dabaakar rakhte hai
Or phir gas kaa presentage note kar lete hai
Agamyaa jagaho jaise roof cavities , ucchi chhal per gas jaaanch karne ke liye telescope prob ka use karte hai
Telescope prob ko yantra me lagane ke liye yantra me diya gaya dust cap ko hatakar, nut dwara telescope probe ko yantra me fit karte hai
Phir jaanch wali jagaho me, prob me laga aspirator valve (rabar VALVE) ko 2-3 baar dabayenge, tab phir methane check button ko 10-20 sec ke liye dabba ke rakhenge or kaanta sthir hone per reading le lenge.
# Methanometer D-6 ka least count---------0.2
Q. methanometer check button ko 10 sec se kam dabakar jaanchh kyu nhi karte hai?
Ans. 10 sec se kam samay me wheatstone bridge me diya gaya resistance thik se garam nhi hoga jisse jaanch me galti ho sakti hai
Q. methanometer check button ko 20 sec se kam dabakar jaanchh kyu nhi karte hai?
Ans. 20 sec se adhik dabakar rakhne se bina wajah battery discharge ho jayegi
Q. if methanometer is not working properly in underground mines, then will you open its battery to check the fault?
Ans. No
Wheatstone bridge
Wheatstone bridge ek electric circuit hota hai
Jisme 4 resstance parallelly connected rahte hai
Current supply karne ke liye isko ek battery se joda jata hai, iss circuit ke bich me ek galvanometer bhi hota .
Isme cicuit ke do adjacent resistance ka ratio usKe agle do adjacent resistance ke ratio ke barabar hota hai
Maan lete hai chaar resistance P,Q,R,S serially ek dusre se connected hai to
P/S=Q/R
Jab voltage drop samaan rahta hai toh galvanometer se koi bhi current flow nhi hota or wah zero deflection dikhataaa hai , ye balanced condition kahlata hai
Jab voltage drop samaan nhi rahta tab galvanometer me current bahati hai or galvanometer deflection show karta hai, iss condition ko unbalanced condition kahte hai
Same cheej methanometer ke andar bhi hoti hai
Methanometer ke andar ek tarah ke chaar platinum-iradium ke filament wheatstone bridge circuit ki tarah lage rahte hai, iss circuit ke bich me ek miliameter bhi laga hota hai
Do filament ek cylinder aakaar ke chamber me hermatically sealed yaani packed rahte hai, jisme sudh hawa (pure air) hoti hai.
Iss chamber ko pure air chamber kahte hai
Hermatically sealed hone se khaan ki hawa inn filament se hokar nhi guzar sakti
Baki ke do filament dusre chamber me rahte hai jha per khaan ki hawa test karne per bhar jatti hai, iss chamber ko sample air chamber kahte hai
Toh jab methanometer me hum methanometer check button ko dabaa ke rakhte hai toh battery se current iss circuit me jatti hai, and because of heating effect of current (vidhut ke usmiya pravab ke kaaran) , filament garam ho jaata hai
Agar khaan ke hawa me gaRam gas mojood hai toh unke swabhab ke anusaar garam vastu ke sampark me aane se wah jal uthti hai, jab wah sample air chamber me do filament se hokar gujarti hai
Jisse inn filament kaa resistance badh jata hai
Kyunki tempreture is directly proportion to the resistance
Jisse ye circuit unbalanced ho jati hai or miliameter se current flow hona suru ho jata hai or yeh deflection show karke dekhata hai
Jitna jyada methane hota hai utna adhik ye kaanta ghumta hai.
iss prakaar hmm methane ke percentae ka hmm pata laga lete hai.
0 Comments